WAQT NAHI

Tuesday, November 07, 2006

Har khushi hai logon ke Daman me,
Par ek hansi ke lie waqt nahi.
Din rat daudti duniya me,
Zindagi ke liye hi waqt nahi. !1!

Maa ki lori ka ahsaas to hai,
Par maa ko maa kehne ka waqt nahi.
Sare rishton ko to hum maar chuke,
Unhe dafnane ka bhi waqt nahi. !2!

Sare naam mobile me hain,
Par dosti ke liye waqt nahi.
Gairon ki kya baat kahen,
Jab apno ke liye hi waqt nahi. !3!

Ankhon me hai neend badi,
Par sone ko waqt nahi.
Dil hai gamon se bhara hua,
Par rone ko bhi waqt nahi. !4!

Paison ki daud me aise daude,
Ki thakne ko bhi waqt nahi.
Paraye ahsason ki kya Kadar karein,
Jab apne sapnon ke liye hi waqt nahi. !5!

Tu hi bata E zindagi,
is zindagi ka kya hoga.
Ki har pal hansne walon ko,
khud hansne ko bhi waqt nahi.......
Ki har pal hansne walon ko,
khud hansne ko bhi waqt nahi. !6!

Note : Not my original creation. Got this as a mail forward.

4 Comments:

Anonymous Anonymous said...

phorh dala shanky! tumhari kavita ne sochne par majboor kar diya.:)

Wednesday, November 08, 2006 8:13:00 AM  
Blogger raoul said...

Hmmm... Nice poem, whoever wrote it. Kind of reminded me of W.H. Davies.

Wednesday, November 08, 2006 11:05:00 AM  
Anonymous Anonymous said...

hmmm
nice poem...
for a sec i was imporessed thinking ur the author

Wednesday, July 04, 2007 2:14:00 PM  
Anonymous Anonymous said...

beautiful poem

Saturday, July 26, 2008 5:28:00 PM  

Post a Comment

<< Home